Friday 3 November 2017

Sad Shayari

Sad Shayari

1) Uski judaai ne mujhe lafzon ka baadshah bana diya
Main kisi se baat bhi karta hoon to log wah wah karte hain.
2) Kitna chahata hoon tujhe yeh mujhko pata nahin
Magar tumhare siva koyi aur dil mein basa nahin
Zamana dushman ho gaya chahat ka humari
Judaa ho gaye phir se hum yeh meri khata nahin.
3) Gila aapse koyi bhi nahin hai
Gila apni majbooriyon se karte hain
Aap aaj hamaare kareeb na sahi
Mohabbat to hum aapki dooriyon se bhi karte hain.
4) Zindagi tere bin adhoori hai
Na jaane kyon tere mere beech yeh doori hai
Sochta hoon kabhi dil se bhula doon tujhko
Par kya karoon teri ek muskurahat hi meri kamzori hai
5) Woh jo sar jhukaaye baithe hain
Hamara dil churaaye baithe hain
Humne kaha hamara dil lauta do
Woh bole hum to haathon mein mehandi lagaaye baithe hain
6) Meri mohabbat bezubaan hoti rahi
Dil ki dhadkanein apna wazood khoti rahi
Koyi nahin aaya mere dukh ke kareeb
Ek baarish thi jo mere sath roti rahi
7) Humse bichhad ke wahan se paani ki ek boond bhi na nikli
Tamaam umra jin aankhon ko hum jheel kehte rahe.
8) Jab jaan pyari thi tab dushman hazaron the,
Ab marne ka shauk hai to kaatil nahi milte.
9) Ek silsile ki ummeed thi unse
Wohi faasle badhaate gaye
Hum to paas aane ki koshish mein the
Na jaane kyun woh humse dooriyan badhaate gaye.
10) Ab to aap ke liye ajnabi hum ho gaye hain
Baaton ke silsile bhi kam ho gaye hain
Khushiyon se zyada gham ho gaye hain
Kya pata yeh waqt bura hai ya bure hum ho gaye hain
11) Jab jab dard ka baadal chhaya
Jab gham ka saya lehraya
Jab aansu palkon tak aaya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai?
Duniya mein yun hi hota hai
Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda gham hai sabka kissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekar hi namm hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai.
12) Hamein kya pata tha mausam aise ro padega,
Humne to aasman ko bus apni dastan hi sunaai thi.
13) Likhun kuchh aaj yeh waqt ka takaza hai,
Mere dil ka dard abhi taaza taaza hai,
Gir padte hain mere aansu mere hi kaagaz par
Lagta hai kalam mein syaahi ka dard zyada hai.
14) Kuchh kadam hum chale
Kuchh kadam tum chale
Farq sirf itna raha
Hum chale to faasla ghat-ta gaya
Aur tum chale to faasla badhta gaya.
15) Ab bhi taaza hai zakhm seene mein,
Bin tere kya rakha hai jeene mein,
Hum to zinda hain tera sath paane ko,
Warna deir kitni lagti hai zaher peene mein.
16) Har shakhs mujhe zindagi jeene ka tareeka batata hai
Unhein kaise samjhaun ki
Ek khwaab adhoora hai mera
Warna jeena to mujhe bhi aata hai..!!
17) Zindagi yun hui basar tanha
Kaafila saath tha aur safar tanha!!
Apne saaye se chaunk jaate hain
Umra gujri hai is kadar tanha!!
Raat bhar bolte hain sannaate
Raat kaate koi kidhar tanha!!
Din guzarta nahi hai logon mein
Raat hoti nahi basar tanha!!
Hamne darwaaze tak to dekha tha
Phir na jaane gaye kidhar tanha!!
18) Zindagi hamaari yun hi sitam ho gayi
Khushi na jaane kahan dafan ho gayi
Likha Khuda ne mohabbat sabki taqdeer mein
Hamaari baari aayi to syaahi hi khatm ho gayi.
19) Sapna kabhi sakaar nahi hota,
Mohabbat ka koi aakar nahi hota.
Sab kuchh ho jata hai duniya mein,
Magar dobara kisi se sachcha pyaar nahi hota.
20) Uske intezar ke maare hain hum
Bus uski yaadon ke sahaare hain hum
Duniya jeet kar kya karna hai ab
Jise duniya se jeeta tha,
Aaj usi se haare hain hum
21) Woh mehandi wale hath mujhe dikha kar royi
Ab main hoon kisi aur ki, yeh mujhe bata ka royi
Pehle kehti thi ki nahi jee sakti tere bin
Aaj phir se woh baat dohra kar royi
Kaise kar loon uski mohabbat pe shak yaaron
Woh bhari mehfil mein mujhe gale laga kar royi.
22) Jab milne laga us ki mohabbat mein sukoon
Phir yun hua woh mera sath chhor gaya
Abhi bohat baki thi hasratein dil mein
Magar woh shakhs adhuri mulaqaat chhor gaya
Fakhra to yeh hai ke woh tha mera hamsafar kbhi
Dukh yeh hai ke beech raah mein woh mera hath chhor gaya
Bin us ke rehna ab azab sa lagta hai
Na jaane zindagi mein woh kaise jazbaat chhor gaya
Woh shakhs to chala gaya meri zindgi se
Magar aankhon mein meri aansuon ki barsaat chhor gaya
23) Yaadon ko teri hamne khone na diya,
Ghamo ne bhi chup hone na diya,
Aankhein to aaj bhi bhar aayi teri yaad mein,
Par teri di hui kasam ne hamein rone na diya.
24) Dil dhadakne ka sabab yaad aaya
Woh teri yaad the ab yaad aaya
Badi mushkil se din guzara tha
Phir tere wada-e-shab yaad aaya
Baith kar saya-e-gul main Nasir
Hum bohat roye woh jab yaad aaya
25) Mehak kya hai fizaaon se poochho
Pyaar kya hai mere dil se poochho
Tadap kya hai meri deewangi se poochho
Hum kitne tanha hain tumhare bina
Yeh bhari mehfil se poochho
26) Ab wafa se mukar gaya hai dil,
Ab mohabbat se dar gaya hai dil,
Ab saharon ki baat mat karna,
Ab dilason se bhar gaya hai dil,
Jab bulate the zinda dil the hum,
Ab na aao ke mar gaya hai dil,
Kya bhala dhoondhate ho seene mein,
Jaan se bhi guzar gaya hai dil,
Ab woh pagalpan na woh wehshat hai,
Chot kha kar sudhar gaya hai dil……!!
27) Bohat udaas hai koi shakhs tere jaane se
Ho sake to laut aa kisi bahaane se
Tu laakh khafa sahi magr ik baar to dekh
Koi toot gaya hai tere door jaane se!!!
28) Tera khayal teri baat sath chalti hai,
Yeh kaaynat mere sath sath chalti hai,
Tamaam umar ka milna koi bhula bhi de,
Magar woh pehli mulaqaat sath chalti hai,
Bichadne lagta hai jab akhri musafir bhi,
To ek mauj-e-khayalat sath chalti hai,
Yeh kaisi raah pe dala hai waqt ne mujhko,
Na koi din na koi raat sath chalti hai,
Bohat aziz hai ankhon ko aansuon ki jhadi,
Koi bhi rut ho yeh barsaat saath chalti hai.
29) Na jeene ki khushi na marne ka gham,
Unse milne ki dua bhi nahin karte hum
Jeete hain isliye ke shayad woh ek din aayenge
Marte isliye nahin ki wo akele reh jaayenge.
30) Woh hamari ek khata par hamse kuchh is kadar rooth kar chal diye….
Jaise sadiyon se unhe kisi bahaane ki talash thi
31) Kal raat jaane kya hua
Kuchh der pehle neend se
Kuchh ashq milne aa gaye
Kuchh khawab bhi toote hue
Kuchh log bhi bhoole hue
Kuchh rasta bhatke hue
Kuch gard mein lipte hue
Kuchh der tarhan pheli hue
Kuch khoon mein simti hue
Be rabt si sochen kahen
Bhooli hoi baaten kahen
Ik shakhs ki yaaden kahen
Phir der tak jaga raha
Socho main baitha raha
Ungli se thande farsh par
Ik naam hi likhta raha
Kal raat bhi woh raat thi
Kuchh der pehle neend se
Main der tak rota raha
Main der tak rota raha
32) Pyaar kya hota hai hum nahi jaante
Zindagi ko hum apna nhi maante
Gham itne mile ki ehsaas nahi hota
Koi hamein pyaar kare ab vishwas nahi hota
33) Na zindagi mili na wafa mili
Kyun har khushi hum se khafa mili
Jhoothi muskaan liye dard chupaate rahe
Sachche pyaar ki kya saza mili
34) Kabhi yun hota tha
Ke hum bhi hote the
Tum bhi hote the
Aur sama-e-gulshan hara bhara
Ab yun hota hai
Na hum hote hain
Na humdum hota hai
Bas hota hai mausam-e-dhuan dhuan
35) Yaad aaoon to bas itni si inayat karna
Apne badle hue lehje ki wazahat karna
Tum jo chahat ka shahkar hua karte the
Kis se seekha hai yeh ulfat mein milawat karna?
Hum sazaaon ke haqdaar bane hain kab se?
Tum hi keh do kya jurm hai mohabbat karna?
Teri furqat mein yeh aankhein abhi tak num hain,
Kabhi aana mere ashkon ki ziyarat karna.
Dil mein ab bhi mohabbat ke diye hain roshan,
Dekh, bhoole nahi teri hasti ki sajawat karna
36) Agar hum door ho jaayein
Kahin duniya mein kho jaayein
Batao kya karogi tum?
Hamain dhoondogi ya phir
Hamein bhool jaogi
Hamain awaaz dogi ya phir
Kisi guzri kahani mein
Hamara naam likh dogi
Chalo aisa hi kar lena
Tum khud bhi badal jana
Hamein tum bhool hi jana
Magar itni guzaarish hai
Hamara zikr jab aaye
Thoda muskura dena
Khushi ka ho ya gham ka ho
Bas ek aansu baha dena
37) Dil mein tamannaon ko dabana seekh liya,
Gham ko ankhon mein chhipana seekh liya,
Mere chahre se kahin koi baat zaahir na ho,
Daba ke hothon ko hamne muskrana seekh liya…
38) Na zindagi mili na wafa mili,
Na jaane har khushi hamse khafa mili,
Jhoothi muskaan liye apne gham chhupaate hain,
Sachchi mohabbat karne ki bhi kya khoob saza mili.
39) Na gul na yeh gulistam hamara hai,
Jise poojte hain na woh farishta hamara hai,
Chal pade hain jis manzil ki oar,
Na woh manzil na woh rasta hamara hai.

No comments:

Post a Comment